ai dil ab ishq kī lai-goī aur chaugān meñ aa
be-ḳhatar Thok ke ḳham jañg ke sāmān meñ aa
ḳhauf ġhammāz raqīboñ kā na kar kuchh hargiz
ho ke raazī ba-razā vaqt hai maidān meñ aa
fursat is vaqt ġhanīmat hai nikal zulmat se
suljh kar zulf se ruḳhsār-e-daraḳhshān meñ aa
gul-e-ruḳhsāra kā nazzāra tū kar āñkheñ khol
añgbīñ chakhne ko phir dil lab-e-ḳhandān meñ aa
ba.ad us ke jo agar samjhe munāsib ai dil
qaid hone ke ta.iiñ chāh-e-zanaḳhdān meñ aa
harzā phirne se tire gosha-nashīnī behtar
vahm-o-shak aur gumāñ chhoḌ ke īqān meñ aa
vasl-o-hijrat ke ta.iiñ ek samajh 'afrīdī'
aql hai kuchh bhī agar sohbat-e-rindān meñ aa