ishq kī koī agar siikh le gar mujh se tamīz
dīn-duniyā meñ huā apne parāyoñ ko aziiz
yā ho shāgird mirā yā mujhe talmīz kare
varna is kūcha-e-ushshāq se kar jaave gurez
maktab-e-ishq se nā-ḳhvāñda uThā jo mahrūm
dono aalam meñ vo kuchh chiiz nahīñ hai nāchīz
mard kyūñkar kahūñ be-ishq jo hove koī
firqa ushshāq meñ us ke ta.iiñ kahte haiñ kanīz
maiñ ne ustād-e-azal se yahī sīkhā thā sabaq
'āfrīdī' na kabhī yaar kī chhoḌūñ dahlīz