Qasim Ali Khan Afridi

ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja

Qasim Ali Khan Afridi

ye musht-e-ḳhāk apne ko jahāñ chāhe tahāñ le jā
par is aalam ko is aalam se mat bār-e-garāñ le jā
adam se jis tarah tanhā chalā aayā thā phir vaañ ko
munāsib hai isī sūrat se sūrat chhoḌ jaañ le jā
kudūrat mā-sivā kī dho le ḳhātir-ḳhvāh ḳhātir se
ba-juz nām-e-ḳhudā hamrāh mat nām-o-nishāñ le jā
azīz-o-aqribā ne māl-o-milkiyyat ba-kār aave
kisī kī dostī kī ai dilā hasrat na vaañ le jā
gadā.ī bādshāhī bhī masāvī vaqt marne ke
tayaqqun kar suḳhan merī par hargiz mat gumāñ le jā
isī duniyā meñ duniyā se kināra kar jo aaqil hai
mohabbat phir kisī shai kī na saath ai mehrbāñ le jā
na koī le gayā kuchh aur na le jaave koī hargiz
yaqīñ gor-o-kafan milne pe kyā tashkīk haañ le jā
ga.ī bāġh-e-jahāñ se ḳhalq ḳhālī haath le par tū
bahār-e-zindagī se zikr kā gul be-ḳhizāñ le jā
bakheḌā yaañ kā yaañ par chhoḌ 'afrīdī' adam āḳhir
na ye dard-o-balā rañj-o-alam āh-o-fuġhāñ le jā
Top Urdushayar.com