Qasim Ali Khan Afridi

kya farogh-e-bazm us mah-ru ka shab sad-rang tha

Qasim Ali Khan Afridi

kyā faroġh-e-bazm us mah-rū kā shab sad-rañg thā
sham.a nahiñ sharminda aur mah dekh ruḳh ko dañg thā
kyuuñ na rakhkhūñ daaġh dil par jaise laala dar-e-chaman
ḳhaal ġhair-e-fām us ruḳhsār par gul-rañg thā
sharmgīñ āñkhoñ se jis jānib ko paḌtī hai nazar
nāzukī shamshīr se bismil pe arsa tañg thā
qatl meñ āshiq ke shab ko kyā tujhe tāḳhīr hai
shor ġhul thā dhuum thī aur izhdihām āhañg thā
aah zaarī par kisī kī vo na kartā thā ḳhayāl
gosh-e-zad-āvāz us dam Dholak-o-mirdañg thā
ho gayā mahv-e-tamāshā ġhair kī mahfil meñ kyuuñ
ġhair tere dil mirā jyuuñ shīsha vaqf-e-sañg thā
'āfrīdī' ishq ke baa.is hayā jaatī rahī
kyā huā tere ta.iiñ da.avā jo nām-o-nañg thā
Top Urdushayar.com