lahrātā hai ḳhvāb sā āñchal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
palkeñ niiñd se bojhal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
jaise mere kaan meñ koī chupke chupke kahtā hai
ishq junūñ hai ishq hai pāgal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
chhoTī chhoTī baat pe us kī āñkheñ bhar bhar aatī haiñ
phailtā rahtā hai phir kājal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
aañkh meñ us ke aks kī aahaT dastak detī rahtī hai
bhar jaatī hai ashk se chhāgal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
maddham maddham saañs kī ḳhush-bū mīThe mīThe dard kī aañch
rah rah ke kartī hai bekal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
dhīme suroñ meñ dard kā panchhī apnī dhun meñ gaatā hai
pyāsī rūheñ pyaas kā jañgal aur maiñ likhtā jaatā huuñ
us ke pyaar kī būñdeñ Tip Tip dil meñ girtī rahtī haiñ
narm gudāz o shoḳh o chanchal aur maiñ likhtā jaatā huuñ