apne jānān ko ai jaan isī jaan meñ DhūñDh
DhūñDh mat aur jagah par dil-e-hairān meñ DhūñDh
DhūñDhnā us kā bahut sahl batāyā hai faqīr
jaan meñ apnī use lūñgā maiñ ik aan meñ DhūñDh
jis taraf dekho usī kā hai jhamkaḌā vallāh
tālib allāh kā letā hai har ik shaan meñ DhūñDh
chāhne vaale kā ḳhud aap chahītā hai vo
mah-e-kan.āñ ko liyā thā chah-e-kan.ān meñ DhūñDh
zāhirā dekh suḳhan-fahm suḳhan 'āfrīdī'
ġhair-maḳhlūq suḳhan ma.anī-e-qur.ān meñ DhūñDh