agar sham.a hue to gal ga.e ham
jo parvāna hue to jal ga.e ham
paḌe aa kar falak ke āsiyā meñ
misāl-e-dāna haa.e dal ga.e ham
kisī sūrat na paayā ham ne ārām
yahāñ se vaañ ke ta.iiñ be-kal ga.e ham
na yaañ se le ga.e na vaañ se laa.e
kaf-e-afsos nāhaq mal ga.e ham
tilismāt-e-jahāñ kā dekh zāhir
taraf ma.anī ke ab ojhal ga.e ham
chale aa.e the tārīkī se lekin
pa chalte vaqt le mash.al ga.e ham
na aayā haath vo dair-o-haram meñ
milā jab dal ke dar-mandal ga.e ham
agar samjhoge ma.anī shaiḳh sāhab
ga.e par tum ko kar qaa.el ga.e ham
rahegā naam 'afrīdī' kā tā-hashr
hameñ the jo ki lā-tā.il ga.e ham