pāñch din ko jo yahāñ par aa gayā
misl-e-gul do roz meñ kumhlā gayā
zindagī phuslā ke le aa.ī mujhe
kaun zālim us jagah bahlā gayā
kyuuñ chhuTā kar ek adam ke aish ko
dūsrā koī adam dikhlā gayā
hasti-e-mauhūm par jo ġhaur kī
dosto be-tarah jī ghabrā gayā
peshtar marne se marnā ḳhuub hai
jo ki ye samjhāo vahī kuchh pā gayā
aah is dil ne na maanī ek baat
nāsehā sau tarah se samjhā gayā
''ahl-e-duniyā kāfirān-e-mutlaq-añd''
masnavī-e-rūm ye farmā gayā
zaq-zaq-o-baq-baq ko ab tū chhoḌ de
tiflagī barnā kā sab jhagḌā gayā
sheb aayā ab to 'afrīdī' samajh
kyā bharosa dam kā hai aayā gayā
kuchh khilā le khā le le jaanā nahīñ
jo gayā hai yaañ se so tanhā gayā
kaun hai vo faqīr-o-bādshāh
jo kaf-e-afsos nahiñ maltā gayā
hasrat-o-ranj-o-alam ġham ke sivā
koī yaañ se vaañ ke ta.iiñ le kyā gayā
'āfrīdī' yaañ sadā rahnā nahīñ
jo gayā hai vo yahī kahtā gayā