Qasim Ali Khan Afridi

kuchh apne kaam nahin aawe jam-e-jam ki kitab

Qasim Ali Khan Afridi

kuchh apne kaam nahīñ aave jām-e-jam kī kitāb
kifāyat apne ko bas ek apne ġham kī kitāb
nahīñ ḳhayāl sivā us ke aur hai dil meñ
jo maktab ishq meñ jaise paḌhā sanam kī kitāb
ḳhat aane se nahīñ ḳhātir jamā hue mutlaq
ise to ḳhat kahūñ yā sabza yā sitam kī kitāb
shab-e-firāq se terī gayā huuñ sab kuchh bhuul
viqāya kanz-o-hidāya sabhī ilam kī kitāb
huā ba-madrasa-e-ishq jab se tālib-e-ilm
bahut hai apne mutāla ko ek dam kī kitāb
na barhaman huuñ na mullā na maulvī na atiit
jo pothī dair kī pān.cho o yā haram kī kitāb
kitāb-e-husn kī 'qāsim-alī' mutāla kar
banā.ī sān.e.a ne san.at se yak-qalam kī kitāb
Top Urdushayar.com