pher roz-e-firāq-e-yār aayā
nāma-bar aah zaar zaar aayā
tere jaane se fitna ho tayyār
ba-sar-e-chashm ashk-bār aayā
jhāḌā marqad pe mere jab dāman
āsmāñ kā goyā ġhubār aayā
mai se tauba to kar nahīñ saktā
kyā karūñ mausam-e-bahār aayā
maarā jāvegā bhaag ai nāseh
dekh ye nāznīñ savār aayā
kisī maḳhlūq ko ḳhudā na dikhā.e
jo ki mujh par dar-intizār aayā
is kī bedād kā ḳhudā de ajr
haath meñ le ke zul-fiqār aayā
kahtā hai sar jhukā jo āshiq hai
maiñ to ab mā.il-e-shikār aayā
'āfrīdī' samajh hayāt-e-abad
qatl ko tere gar vo yaar aayā
peshvā.ī ko is kī jā jaldī
kah ki hāzir gunāhgār aayā
tujhe 'qāsim-alī' ḳhudā kī qasam
kaise zālim pe e'tibār aayā