is arz ke taḳhte par sansār hai aur maiñ huuñ
mauhūm huā to kyā par yaar hai aur maiñ huuñ
paḌtī hai nazar jīdhar vo yaar hai aur maiñ huuñ
hai kaun sivā mere dildār hai aur maiñ huuñ
maiñ yaar kane qāsid bhejā to hai par shāyad
le naama agar aayā rībār hai aur maiñ huuñ
moḌūñgā nahīñ muñh ko maiñ ishq ke maidāñ se
is yaar ke abrū kī talvār hai aur maiñ huuñ
ab dekhiye kyā nibTe siina hai sipar apnā
vo ḳhanjar-e-mizhgāñ kā ḳhūñ-ḳhār hai aur maiñ huuñ
jab se ba-sanam-ḳhāna kī maiñ ne qadam-bosī
sau tarah kī zāhid se takrār hai aur maiñ huuñ
rāhib ne mire qashqa sandal kā lagāyā hai
nāqūs hai ghanTa hai zunnār hai aur maiñ huuñ
naf-o-zarar-e-duniyā duniyā hī pe maiñ chhoḌā
ab ishq kā ai yaaro bevpār hai aur maiñ huuñ
hairāñ maiñ huuñ ai yaaro kis vāste 'afrīdī'
rusvā.ī ba-har kūcha bāzār hai aur maiñ huuñ