kahāñ kā nañg rahā aur aur kahāñ rahā nāmūs
ulajh ga.ī jo mohabbat meñ duḳhtar-e-taimūs
mazā jo vasl kā chāhe to bār-e-hijr uThā
phir intiqām ho āḳhir ke ta.iiñ kanār-o-bos
majāzī ho ki haqīqī sarīh ishq kā naam
latīf tohfa piyārā ajiib naam uruus
mujhe bhī ishq kā hai maraz kyā karūñ yaaro
muālaje se mire aajiz aayā jālīnūs
dil hī meñ 'qāsim-alī' sham-e-ishq kar raushan
bachā le bād-e-muḳhālif se tan kā kar fānūs