Javed Saba

tasbih o sajda-gah bhi sajda bhi mast mast

Javed Saba

Karachi, Sindh, Pakistan

1958
tasbīh o sajda-gāh bhī sajda bhī mast mast
qibla bhī mast mast hai kaaba bhī mast mast
qatra bhī apnī mauj meñ dajla bhī mauj meñ
dariyā bhī mast mast hai sahrā bhī mast mast
ḳhurshīd o māhtāb bhī zarra bhī be-dimāġh
adnā o past o arfā o aalā bhī mast mast
merā vajūd aur vajūd-e-adam bhī mast
pinhāñ bhī mast mast hai paidā bhī mast mast
ā.īna aks aur pas-e-ā.īna bhī mast
poshīda mast-e-ḳhvāb huvaidā bhī mast mast
aalī janāb qibla-o-kāba huzūr-e-man
maiñ hī nahīñ huuñ qibla-o-kāba bhī mast mast
sāġhar surāhī jaam pyāla bhī mast mast
saaqī bhī mast mast hai sahbā bhī mast mast
yaḳh-bastagī bhī mast hai aur āh-e-sard bhī
chiñgārī aag aag kā shola bhī mast mast
ai be-ḳhudī salām tujhe terā shukriya
duniyā bhī mast mast hai uqbā bhī mast mast
kuchh terī madh bharī huī āñkheñ bhī mast haiñ
kuchh un ke saath saath zamāna bhī mast mast
Top Urdushayar.com