tū bhī vafā ke ruup meñ ab Dhal ke dekh le
is aag meñ hamārī tarah jal ke dekh le
dasht-e-talab meñ pyaar ke ġhunche bhī khil uTheñ
kuchh roz mere saath kabhī chal ke dekh le
mumkin hai koī sub.h-e-tamannā ho is ke ba.ad
ai hasratoñ kī raat zarā Dhal ke dekh le
kuchh gard-bād ġham ke umīdoñ ke kuchh sarāb
manzar hamāre dil meñ koī thal ke dekh le
rakhte haiñ ham bhī jur.at-e-iz.hār-e-zindagī
mahrūmiyoñ kā ḳhauf agar Tal ke dekh le
is dil meñ ho chukā hai bahut valvaloñ kā ḳhuun
ai jazb-e-shauq tū bhī yahāñ pal ke dekh le
'az.har' tirā nasīb hai ye shabnamī bahār
chehre pe tū bhī rañg-e-ḳhizāñ mal ke dekh le