sahrā koī bastī koī dariyā hai ki tum ho
sab kuchh mirī nazroñ kā tamāshā hai ki tum ho
lauT aa.e haiñ sahrā se sabhī lauTne vaale
is baar mire shahar meñ achchhā hai ki tum ho
tum ho ki mire lab pe duā rahtī hai koī
ā.ankhoñ ne koī ḳhvāb sā dekhā hai ki tum ho
jab bhī koī detā hai dar-e-ḳhvāb pe dastak
maiñ sochne lagtā huuñ ki duniyā hai ki tum ho
ye ishq kā jaltā huā sahrā hai ki maiñ huuñ
ye husn kā bahtā huā dariyā hai ki tum ho