apnī sūrat ko badalnā hī nahīñ chāhtā maiñ
ab kisī sāñche meñ Dhalnā hī nahīñ chāhtā maiñ
tum agar mujh se mohabbat nahīñ karte na sahī
aisī bātoñ se bahalnā hī nahīñ chāhtā maiñ
yā mire paañv meñ quvvat hī nahīñ hai itnī
yā tirī raah pe chalnā hī nahīñ chāhtā maiñ
suntā rahtā huuñ sadā.eñ tirī dastak kī magar
apne kamre se nikalnā hī nahīñ chāhtā maiñ
ye bhī sach hai ki sambhalnā hai zarūrī merā
ye bhī sach hai ki sambhalnā hī nahīñ chāhtā maiñ