Javed Saba

baDi mushkil se chhupaya hai koi dekh na le

Javed Saba

Karachi, Sindh, Pakistan

1958
baḌī mushkil se chhupāyā hai koī dekh na le
aañkh meñ ashk jo aayā hai koī dekh na le
ye jo mahfil meñ mire naam se maujūd huuñ maiñ
maiñ nahīñ huuñ mirā dhokā hai koī dekh na le
saat pardoñ meñ chhupā kar use rakkhā hai magar
dil ko ab bhī yahī dhaḌkā hai koī dekh na le
Dar rahā huuñ ki sar-e-shām tirī āñkhoñ meñ
maiñ ne jo vaqt guzārā hai koī dekh na le
haath narmī se chhuḌātī huī ḳhalvat ne kahā
ye jo ḳhalvat hai tamāshā hai koī dekh na le
terā merā koī rishta to nahīñ hai lekin
maiñ ne jo ḳhvāb meñ dekhā hai koī dekh na le
saath chalnā hai to ġhairoñ kī tarah saath na chal
shahr kā shahr shanāsā hai koī dekh na le
Top Urdushayar.com