Khaleeq Qureshi

hum na honge to hamein yaad karoge yaro

Khaleeq Qureshi

ham na hoñge to hameñ yaad karoge yaaro
tazkire hoñge yahī jab bhī miloge yaaro
ham ne rūdād-e-vafā ḳhud se murattab kī hai
dāstāñ phir ye kabhī sun na sakoge yaaro
ham na hoñge to kise pāoge dil kā mahram
ham na hoñge to ye dukh kis se kahoge yaaro
mahfileñ yūñhī raheñgī yūñhī yāroñ ke hujūm
lekin ik baat jise phir na sunoge yaaro
ham se zinda hai rah-o-rasm-e-mohabbat ab tak
us ko jaañ de ke kahāñ zinda rakhoge yaaro
ham ne har baar havādis kī kalā.ī moḌī
tum unheñ kis tarah maġhlūb karoge yaaro
zikr hogā lab-e-ayyām pe aksar apnā
tum hameñ mus.haf-e-ālam meñ paḌhoge yaaro
vaqt pūjegā hameñ vaqt hameñ DhūñDegā
aur tum vaqt ke ham-rāh chaloge yaaro
hamīñ tārīḳh-e-zamāna ke murattab haiñ 'ḳhalīq'
hameñ tārīḳh meñ ik roz kahoge yaaro
Top Urdushayar.com