Mirza Azfari

aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale

Mirza Azfari

aate aate tarf mere muḌ ke phir kīdhar chale
jān-sāhab! bin tumhāre khā ke ġham ham mar chale
sajde de nāghisniyāñ karte haiñ tum sunte nahīñ
jo na karnī thī samājat vo bhī kar aksar chale
aadmī se but kahā.e ab ḳhudā.ī kā hai azm
Tuk karo insāf apnī had se tum bāhar chale
dekh leveñge guzāre ke ta.iiñ ab aur jā
dekhā bhārī pathar us ko chuum sar se dhar chale
āshiqoñ ne naam terā le kiyā qālib tahī
marte marte bhī to terā hī ye sab dam bhar chale
bazm meñ tum khul rahe the baiThe dekh ham ko ruk ga.e
gar yuuñ hī raazī ho lo jī uTh ham apne ghar chale
kis ke aa.e kis se rañg-raliyāñ kiyā pyaar aur chaah
ishq kī badnāmī pyāre rakh ke mujh uupar chale
ḳhizr ko shābāsh uktāyā na ab tak aur ham
zindagānī ek dam bhar kī bhī kar dūbhar chale
āh-o-afġhāñ to hamārā kar rahā hai zor-shor
juuñ bagūlā yā ho āñdhī yā koī sarsar chale
dekheñ kis kī aah kā us par asar ho 'azfarī'
ham to bhar maqdūr, kar kitnā hī shor-o-shar chale
Top Urdushayar.com