hameñ chhoḌ kīdhar sidhāre piyāre
haiñ mushtāq diide tumhāre piyāre
in āñkhoñ ko bādām o nargis se nisbat
idhar Tuk to dekho hamāre piyāre
ye sarv-e-sahī aur shamshād saare
tumhāre qad uupar se vaare piyāre
ye ḳhūbān-e-hindī-o-chīn-o-chigil bhī
tasadduq ga.e tujh pe aare piyāre
tujhe TukTukī bāñdh sab tak rahe haiñ
falak tak bhī bin aañkh taare piyāre
libās-e-zar-o-gul kī hājat nahīñ hai
tujhe ai ḳhudā ke sañvāre piyāre
tirī nīchī in chitvanoñ ke Thagoñ ne
bidesī banāv hī maare piyāre
use saa.ī denā aur is ko badhā.ī
ye chhal-bal batāo to baare piyāre
paḌo puTkī aise tumhāre gunoñ par
tumheñ ham to samjhā ke haare piyāre
vo majlis kī majlis jamī aan kar phir
hue ham haiñ āḳhir kināre pyāre
haTā tifl-e-dil 'azfarī' kā tire dekh
vo bādām o aam aur chhuhāre pyāre