soz-e-sham-e-hijr se shab jal ga.e
Dhalte Dhalte aañsū ham ḳhud Dhal ga.e
kal kā va.ada kyā raqīboñ se kiyā
karte aaj aapas meñ kuchh kal kal ga.e
vo uThā kar yak qadam aayā na gaah
ham qadam saañ us ke sar ke bal ga.e
kab chhupī chhab taḳhtī aur vo chāl-Dhāl
go ki muñh par kar ke tum ojhal ga.e
shart thī mānūñgā jo māñgoge tum
nām-e-bosa sunte hī kuchh Tal ga.e
sāda-rū to dal ke ujle chor haiñ
haath le ye maal kurte Tal ga.e
ġhuncha-e-dil 'azfarī' taqrīb-e-sair
gul-ruḳhāñ pāmāl kar mal-dal ga.e