nam-e-ashk āñkhoñ se Dhalne lagā hai
ki favvāra ḳhuuñ kā uchhalne lagā hai
Dubā dil kā ghar aañkh tak aan pahuñchā
ab aañsū kā naalā ubalne lagā hai
ye seb aañb shaftālū nārañgī kamarkha
tire baaġh kā meva palne lagā hai
tumhārī miyāñ dekh ye phal phulārī
mirā tifl-e-dil to machalne lagā hai
khajūreñ samose tale kuchh dilā do
ajii! jī mirā un pe chalne lagā hai
abhī aa.e kahte ho jaatā huuñ lo jī
ye sunte mirā jī dahalne lagā hai
mirī jaan jald 'azfarī' paas aa jā
ki jī us kā tujh bin nikalne lagā hai