tū bātoñ meñ bigaḌ jaatā hai mujh se
parā.ī pach pe laḌ jaatā hai mujh se
ye kyā kaj-kāviyāñ aur TeḌhiyāñ haiñ
ki tap tap ko jhagaḌ jaatā hai mujh se
hamesha maash kā aaTā sā kyuuñ tū
zarī bhar meñ akaḌ jaatā hai mujh se
burā hai ishq kā āzār yaaro
ye aksar vaqt aḌ jaatā hai mujh se
tabābat meñ masīhā huuñ va-lekin
maraz ye to chapaḌ jaatā hai mujh se
hai jaanī tujh meñ sab ḳhūbī pa jaañ sā
tū ik dam meñ bichhaḌ jaatā hai mujh se
hai dushman man-chalā par 'azfarī' dekh
nazar paḌte sañkaḌ jaatā hai mujh se