samajh ghar yaar kā maiñ shah-nashīn-e-dil ko dhotā huuñ
kaheñ haiñ log dīvāne ki dīvāna huuñ rotā huuñ
bujhā.e ashk ye ḳhuuñ ke jo favvāre uchhalte haiñ
mizha se yaar ke le nashtar āñkhoñ meñ chubhotā huuñ
madad ai ḳhizr-e-girya ġharq kariyo nāv-e-dil aaj hī
ye hai Dubvāne vaalā maiñ ise pahle Dubotā huuñ
but-e-sañgīn dil kī dekh tasvīr āñkheñ pathrā.īñ
ThiThuk huuñ naqsh-e-qālīñ sā na rotā huuñ na sotā huuñ
maiñ kū-e-maikashān-o-mahvashāñ ke muttasil pahuñchā
ḳhabar-dār ai harīfo ab havās-o-hosh khotā huuñ
mabādā mere gul-rū kā gul-e-ruḳhsār murjhāve
phuvār ai 'azfarī' de āñsuoñ kī maiñ bhigotā huuñ