jabki ġhusse ke biich aate ho
laakh laakh ek kī sunāte ho
kaise har khaa.e se bane piyāre
baat karte hī kaaT khāte ho
uḌtī chiḌiyā ko ham parakhte haiñ
kase bātoñ meñ tum uḌāte ho
kaho mujh se bhī chal sakoge kyā
baiTho jī bāteñ kyā banāte ho
jas na tis par na dekh dah paḌnā
bhale matvāle madh ke maate ho
jab maiñ dekhūñ huuñ aañkh bhar ke tumheñ
badal āñkheñ mujhe dhirāte ho
kyā tumhārī gadhī churā.ī maiñ
gāliyāñ de jo muñh churāte ho
jab na tab uTh ke 'azfarī' kā galā
daab dhamkāte aur Darāte ho