Mirza Azfari

Dholaki dham-dhami KHanjri bhi bajaani jaani

Mirza Azfari

Dholakī dham-dhamī ḳhanjrī bhī bajānī jaanī

taan jaan magar tum ne na jaanī jaanī

hil ga.e mil ga.e an-jānoñ se juuñ jaan pahchān

par mirī qadr zarī tum na pahchānī jaanī

lag chale jo ki raqīboñ ne lagāyā tum ko

sāñchī aur jhūTī koī baat na chhānī jaanī

jo kahā maiñ ne na tum ne kabhī dhar kaan sunā

baat kyā aisī mirī tum ne divānī jaanī

maan ne terī to maarā hameñ ab to man

ye haTelā nahīñ dekhā koī maanī jaanī

jāñ-kanī meñ to zarā aa ke dikhāo dīdār

jaan mar jā.ūñgā kahtā maiñ jaanī jaanī

raat din ye jo sulūk ham se kiyā karte ho

dil meñ kyā jāniye kyā tum ne hai Thānī jaanī

sarf apnī tire ishq meñ jaanī sab umr

'azfarī' ne na buḌhāpā na javānī jaanī

Top Urdushayar.com