ġhairoñ ke saath gaate jaate ho
chuTkiyoñ meñ hameñ uḌāte ho
kaun ustād mil gayā kāmil
kis se zarbeñ ye siikh aate ho
naqsh kis kā upar uThā muñh par
ab to naqsha nayā biThāte ho
kabhū so rahte ho dupaTTa taan
kabhī ik taan maar jaate ho
kabhū karte ho jhāñjh aa ham se
kabhī jhāñjh aur daf bajāte ho
kabhū laḌne kā taar hai aur gaah
taar tambūr par chaḌhāte ho
taalī dai thapḌī maar aur laḌ-bhiḌ
thaap murdañg par lagāte ho
hotī hai jab kaheñ se dūt-dapak
kyuuñ hameñ aa ke khaḌkhaḌāte ho
va.ada Taltā hai jab tū raah meñ dekh
buttī de mujh ko giḌgiḌāte ho
'azfarī' dost ko rulā piyāre
dushmanoñ ke ta.iiñ hañsāte ho