shitābī apne dīvāne ko kar band
musalsal zulf se kar yā nazar-band
tirā shaidā na Thahrā jaañ sā ik dam
gayā le coat meñ lohe ke kar band
jo tujh par aur ko tarjīh de dekh
bas us andhe kī āñkheñ haiñ magar band
taḌaptā be-qarārī āh-o-zārī
huiiñ ye hālateñ kyūñkar satar-band
hai sho.ala aag kā har aah ke saath
ye dil hai yā hai siine meñ sharar band
piyāre Dar ḳhudā se apnī āñkheñ
hamārī tarf se itnī na kar band
tujhe ḳhurshīd-rū, jī bhar ke dekhūñ
huī jaatī hai merī aañkh par band
azīzo misr-e-dil kī raah hai duur
rah-e-zulmāt meñ haigā ye dar band
jo chāhe do jahāñ kā kaam legā
hai bāñdhā jis ne himmat kā qamar-bañd
raho Tuk 'azfarī' ab chashm khole
raheñgī aañkh phir shām-o-sahar band