girah jo kaam meñ Daale hai panjā-e-taqdīr
majāl kyā ki khule vo ba-nāḳhun-e-tadbīr
dilā taḌaph ke tū niklā paḌe hai siine se
ye ghar ujaaḌ na ai ghar base pakaḌ Tuk dhiir
shab-e-firāq meñ jānāñ kī maiñ rahā jiitā
ki saḳht-jān hai mujh ko hijāb dāman-gīr
lab us ke dekho to hai zulm-o-ḳhūñ ḳhurī kī dalīl
siyah misī pe nahīñ surḳh paan kī tahrīr
ye pheñk tīr-e-nigah jī se maar Dāleñ haiñ
batāo kar sake be-jāñ sitam kī kyā taqrīr
Tuk aañkh uThā ke jo dekhā nazar se de paTkā
na thī ye 'azfarī' itnī gunāh kī ta.azīr