siine kā ab tak hai zaḳhm aalā miyāñ
hai anī mizhgāñ kī yā bhālā miyāñ
kis zamāne kī ye dushman thī mirī
is mohabbat kā ho muñh kaalā miyāñ
ishq meñ tere luTe sab durr-e-ashk
aisī var-ḳharchī ne ghar ghālā miyāñ
jo bisāt apnī meñ thā hosh-o-ḳhirad
jhokā jholī meñ tire laalā miyāñ
ishq ke zevar ko aañsū mat kaho
motiyoñ kī hai ye gul-mālā miyāñ
khol paT ghuñghaT kā dikhlāyā jamāl
mere taale kā khulā taalā miyāñ
sarv-e-bālā ko tire to dekh kar
ho ga.ī duniyā tah-o-bālā miyāñ
nekī merī aur badī apnī ko jaan
sab badī ko apnī to Dhālā miyāñ
Tālā, baalā 'azfarī' ko de ga.e
kaan kā apne dikhā baalā miyāñ