jaan aa bar meñ ki phir kuchh ġham-o-vasvās nahīñ
tū nahīñ paas to phir kuchh bhī mire paas nahīñ
tū jilāve to jiyūñ tū hī jo maare to marūñ
tujh sivā mujh ko to dārain meñ kuchh aas nahīñ
naam lene se tirā maiñ huuñ mo.attar hotā
gul-e-jannat meñ bhī sunte haiñ ki ye baas nahīñ
yaaro hai 'azfarī' urdu kī zabāñ kā vāris
ahl-e-dehlī hai vo bāshinda-e-madrās nahīñ