Mirza Azfari

ji mein kya kya meri umaha tha

Mirza Azfari

jī meñ kyā kyā mirī umāhā thā
par huā vo jo haq kā chāhā thā
nibhī jab tak ki ham nibāh sake
aap ne ham ko kab nibāhā thā
luqqe do chaar saath jaate the
kaisā kal raat hī-hī haahā thā
chakkī raahā thā kyā balā ye raqīb
chakkī sā muñh to is kā raahā thā
kūche tere meñ raat ko jo ga.e
bhūle ham vaañ jahāñ dorāhā thā
tum jhaTak ga.e kuchh in dinoñ pyāre
Tok kis ne tumheñ sarāhā thā
tum pe thā jab ki ālam-e-tajrīd
un dinoñ maiñ bhī bin-biyāhā thā
jis galī biich jā nikalte the
tum par aur ham pe aahā aahā thā
aa ke tujh se jo thā milā laḌ kar
paayā kyā 'azfarī' ne laahā thā
Top Urdushayar.com