dostī meñ tirī bas ham ne bahut dukh jhele
kaun nit uTh ke mirī jaan ye pāpaḌ bele
cholī maskī hai khule band garebāñ ye phaTā
kaun sī jaa.e se ban aa.e miyāñ albele
mel tere kā koī ham ko sajīlā na milā
dekh Daale haiñ har ik shahr ke mele-Thele
zulm kī rahtī hai mujh par jo ye le le de de
kā.enāt apnī mire paas hai jo kuchh le le
nosh farmāte ho bātoñ meñ maze se aksar
dhendas aur kadūhī aur khīre chachīñde kele
dil bharā hai to kaho aur nahīñ to bismillāh
aur man māntī das laakh to gaalī de le
tere dhamkāne se koī 'azfarī' dhamke haigā
khel aise haiñ miyāñ ham ne bahut se khele