is kī sūrat ko dekh kar bhūle
haa.e ham bhūle sar-ba-sar bhūle
muñh kā mīThā thā peT kā khoTā
jhūTī mīThī sī baat par bhūle
dekho is merī yaad ko aur vo
mujh pe kartā nahīñ nazar bhūle
us ke ushshāq ho ga.e vahshī
sab ye ḳhāna-ḳharāb ghar bhūle
jab farāmosh o yaad bhī khele
ek idhar ham tum ik udhar bhūle
ham farāmosh kī farāmoshī
aur tum yaad umr bhar bhūle
bhūle-bhaTke se yaañ tum aa nikle
nashshe meñ raah kuchh magar bhūle
naḳhl-e-āh ek chhuT na phūlegā
is ko phaltā nahīñ samar bhūle
'azfarī' zor khā ga.e dhokā
is ke zāhir pe tum aphar bhūle