ye dil vo hai ki ġhamoñ se jise farāġh nahīñ
misāl laala se kyā duuñ kuchh ek daaġh nahīñ
galī meñ terī hī dil bar se gir paḌā dilbar
maiñ DhūñDūñ aur kahāñ jā kahīñ surāġh nahīñ
hai dāġh-e-ishq se raushan aur āh-e-sard se sard
hamāre dil kā to ḳhas-ḳhāna be-charāġh nahīñ
paḌā jahāñ tirā naqsh-e-qadam mire gul-rū
vo gul-zamīñ hai kahāñ jo ki bāġh-bāġh nahīñ
ai mere ġhuncha-dahan mere nargis-e-maḳhmūr
tire tamāshe kā mushtāq kaun baaġh nahīñ
hai kaun ġhuncha surāhī banā na tere huzūr
hai kaun phuul jo mai kā tire ayāġh nahīñ
kahāñ kā sher kahāñ kī ġhazal kahāñ kī bait
karūñ jo fikr bhī ab vo dil-o-dimāġh nahīñ
na 'azfarī' se karo nazm o nasr kā mazkūr
na jī kuchh in dinoñ apnā dimāġh chāġh nahīñ