Mirza Azfari

teri tegh abru ki Tuk samne kar dekhen to

Mirza Azfari

tirī teġh abrū kī Tuk sāmne kar dekheñ to
bachche ḳhurshīd bhī rakh muñh pe sipar dekheñ to
mere ḳhurshīd-laqā diid kī Tuk ruḳhsat de
tere dīdār ko phir ek nazar dekheñ to
teġh tole hue kāñdhe pe jo aayā hai savār
o sajīle mire ghoḌe se utar dekheñ to
mar gayā jo use kahte haiñ huā aaj visāl
jī rachā ziist se is hijr meñ mar dekheñ to
bah chukā ḳhāna-e-dil aañkh tak aa pahuñchī sail
ro.e jā aur bhī ai dīda-e-tar dekheñ to
aa ke āñkhoñ kā shabistāñ mirā raushan kar de
vo din aatā hai kab ai nūr-e-basar dekheñ to
hai masal ġhussa utar jaatā hai paañv pe gire
qadmoñ par us ke bhalā sar ko bhī dhar dekheñ to
din bahut biit ga.e galiyāñ haiñ suunī tujh bin
jaanī ban-Than zarī aa jaao idhar dekheñ to
sab kaheñ guzrī pa guzrī na ku-e-dil-bar meñ
rahe jaañ 'azfarī' is se bhī guzar dekheñ to
Top Urdushayar.com