bārak-allāh maiñ tire husn kī kyā baat kahūñ
saj kahūñ dhaj kahūñ chhab taḳhtī kahūñ gaat kahūñ
ruḳh o zulf us ke shab-e-tār meñ dekhe bāham
huuñ achambhe meñ ise din kahūñ yā raat kahūñ
kī qayāmat tire qāmat ne to gulshan uupar
pañkhuḌī ek taraf phuul kahūñ paat kahūñ
tāq-e-abrū ke nazāre ke the ḳhvāhāñ so milā
aur kyā hājat ab ai qibla-e-hājāt kahūñ
dekhne ko abhī dil taḌpā ki tum aa pahuñche
kashish-e-dil ki tumhārī ye karāmāt kahūñ
ain hijrāñ meñ bahār-e-gul-o-bārāñ aa.ī
girya āshiq kā kahūñ yā use barsāt kahūñ
'azfarī' ne haiñ tire ishq meñ jhele pyāre
kyā kyā āfāt baliyyāt ki sadmāt kahūñ