miTā ke tīrgī tanvīr chāhtā hai dil
har ek ḳhvāb kī ta.abīr chāhtā hai dil
jise sambhāl ke rakh le zamāna yādoñ meñ
vo apnī zaat kī tasvīr chāhtā hai dil
maiñ apne aap se jab jab savāl kartā huuñ
mire javāb meñ tāsīr chāhtā hai dil
suḳhan payām ho duniyā ke vāste koī
diloñ ke vāste taqrīr chāhtā hai dil
na chāhtā hai ki tīr-o-kamāñ kī baat karūñ
na apne haath meñ shamshīr chāhtā hai dil
tumheñ se raunaqeñ qaa.em haiñ bazm-e-hastī kī
tumhāre pyaar kī jāgīr chāhtā hai dil
vo jis pe rashk kare har koī zamāne meñ
qalam kī shoḳhi-e-tahrīr chāhtā hai dil