aa.eñ vo laakh dekhne vāloñ ke sāmne
uThtī hai aañkh mahr-jamāloñ ke sāmne
mumkin nahīñ javāb tirī chashm-e-mast kā
ye faisla huā hai ġhazāloñ ke sāmne
tanhā na ek hazrat-e-mūsā ko ġhash huā
Thahrā hai kaun barq-jamāloñ ke sāmne
ho jaa.e husn ko na kisī kī nazar kahīñ
achchhe nahīñ haiñ dekhne vāloñ ke sāmne
duniyā meñ nek-o-bad to koī chiiz hī nahīñ
honā hai sab ko apne ḳhayāloñ ke sāmne