zindagānī kā ye pahlū kuchh zarīfāna bhī hai
ya.anī us kī har haqīqat ek afsāna bhī hai
tum jise jaisā banā dete ho ban jaatā hai vo
fitratan har aadmī aaqil bhī dīvāna bhī hai
rañj hī akasr huā kartā hai rāhat kā nishāñ
jis jagah tum daam dekhoge vahāñ daana bhī hai
vā-e-qismat ik hamīñ mahrūm is fan se rahe
apne matlab ke liye hushyār dīvāna bhī hai
vaq.at-e-mai-ḳhāna bhī apnī jagah kuchh kam nahīñ
qābil-e-tāzīm go ka.aba bhī but-ḳhāna bhī hai
dil kī fitrat ishq-o-ulfat hī maiñ ai 'sāhir' khulī
ye vo kāfir hai ki apnā ho ke begāna bhī hai