ham-kalāmī meñ dar-o-dīvār se
kitne jazbe rah ga.e iz.hār se
dhuup baḌhte hī judā ho jā.egā
sāya-e-dīvār bhī dīvār se
hijr kā lamha mukammal ho gayā
raushnī jab kaT ga.ī mīnār se
TuuT kar bikhre ḳhud apne sog meñ
dil lagā kar dard ke ruḳhsār se
nīm-vā galiyāñ churā kar laa.ī haiñ
kaisā sapnā dīda-e-bedār se
kitne hī māyūs lamhoñ ke bhañvar
ham ne naape zehn ke parkār se
umr bhar 'tāriq' ulajhte hī rahe
jism kī girtī huī dīvār se