Munir anwar

thoDi si miTTi ki aur do bund pani ki kitab

Munir anwar

liaqat pur, Punjab, Pakistan

1962
thoḌī sī miTTī kī aur do buuñd paanī kī kitāb
ho agar bas meñ to likheñ zindagānī kī kitāb
ratjage tanhā.iyāñ paane kā kho dene kā zikr
lījiye paḌh lījiye merī javānī kī kitāb
kah rahī hai shahar kī barbādiyoñ kī dāstāñ
adh-jale kuchh kāġhazoñ meñ ik kahānī kī kitāb
zindagī bhar kufr ke fatvoñ kī zad meñ thā vo shaḳhs
mo'atabar Thahrī hai ab jis āñ-jahānī kī kitāb
vaqt ke zulmat-kade meñ hai bhalā kis ko davām
ab kahāñ se lā.ūñ maiñ terī nishānī kī kitāb
dekhiye jis ko liye phirtā hai 'anvar' dosh par
apnī nākāmī kisī kī kāmrānī kī kitāb
Top Urdushayar.com