tirā mizāj takabbur kā shāḳhsāna thā
ta.alluqāt kā manzar badal hī jaanā thā
ga.e the ham bhī faqat rasm hī nibhāne ko
aur us kā tarz-e-amal bhī muḳhāsamāna thā
kisī ke ūñche dar-o-bām mohtaram the magar
hameñ havā ke liye rāsta banānā thā
ye ḳhaak buġhz-o-adāvat se paak rakhnī thī
zamīn-e-dil pe shajar pyaar kā ugānā thā
maiñ jāntā huuñ use mujh pe e'tibār na thā
agarche mere gavāhoñ meñ ik zamāna thā
ye tū ne tark-e-marāsim kī baat kyoñ chheḌī
hameñ to yuuñ bhī tirā shahar chhoḌ jaanā thā
ka.ī charāġh muñDeroñ pe jal bujhe 'anvar'
use na aanā thā shāyad use na aanā thā