dā.ere se nikāl de koī
ham ko raste pe Daal de koī
saañs rukne lagī hai siine meñ
ye kaḌā vaqt Taal de koī
yuuñ kiyā hai salām us ne mujhe
jaise patthar uchhāl de koī
us kī hasrat meñ jo guzār diye
vo mire māh-o-sāl de koī
baat karnā muhāl lagtā hai
mere maulā kamāl de koī
kaash merī ḳhatāoñ ko 'anvar'
ik tabassum se Taal de koī