Munir anwar

ghazal kahun ki tujhe hasil-e-ghazal likhun

Munir anwar

liaqat pur, Punjab, Pakistan

1962
ġhazal kahūñ ki tujhe hāsil-e-ġhazal likhūñ
maiñ lafz likhūñ magar phir badal badal likhūñ
tumhāre saath jo lamhe nasīb meñ aa.e
unheñ maiñ umr kahūñ aur ek pal likhūñ
abad qarār duuñ chāhat kī har nishānī ko
maiñ tere pyaar ko sarmāya-e-azal likhūñ
tirī nazar ke badalte hue ishāroñ ko
maiñ terā aaj kahūñ aur apnā kal likhūñ
likhūñ to likhtā chalā jā.ūñ ishq kī zid hai
hai maslahat kā taqāzā sambhal sambhal likhūñ
vo merī ruuh meñ shāmil hai is tarah 'anvar'
bin us ke ziist faqat saañs kā amal likhūñ
Top Urdushayar.com