tū hai vaisā hī hū-ba-hū yaarā
ḳhvāb meñ thā jo rū-ba-rū yaarā
dūsrā tū hai jis ne samjhī hai
merī be-rabt guftugū yaarā
tujh ko sochūñ to phuul khilte haiñ
dil kī nagrī meñ kū-ba-kū yaarā
itne logoñ meñ bhī akele haiñ
ek maiñ aur ek tū yaarā
bas ye azm-e-safar javāñ rakhnā
dhuñd chhaTnī to hai kabhū yaarā
āj-kal ratjage manātī hai
tere ḳhvāboñ kī aarzū yaarā
ek sahrā hai pyaas kā 'anvar'
tū mohabbat kī aabjū yaarā