Munir anwar

kaha ye maine ki apni aankhon mein KHwab rakhna

Munir anwar

liaqat pur, Punjab, Pakistan

1962
kahā ye maiñ ne ki apnī āñkhoñ meñ ḳhvāb rakhnā
kahā ye us ne ki aañkh rakhnā azaab rakhnā
ye maiñ ne pūchhā thā log kyuuñ mar rahe haiñ itne
javāb aayā tum un ke ḳhuuñ kā hisāb rakhnā
kahā ye maiñ ne zamīn par amn ho sakegā
kahā ki hāthoñ meñ alam rakhnā kitāb rakhnā
kahā ye maiñ ne ki zindagī kis tarah kaTegī
kahā ye us ne ki chāhatīñ be-hisāb rakhnā
kahā ye maiñ ne havā.eñ haiñ tund-o-tez kitnī
vo hañs ke bolī ki kashtiyāñ zer-e-āb rakhnā
kahā ye us ne ki dā.ere se nikal ke dekheñ
kahā ki pahle koī safar intiḳhāb rakhnā
kahā ye us ne ki bhiiḌ meñ ham bichhaḌ na jaa.eñ
kahā ki juuḌe meñ ek taaza gulāb rakhnā
kahā ye us ne ki ham agar sach kā saath deñ to
kahā ye maiñ ne ki sahne kī taab rakhnā
Top Urdushayar.com