Munir anwar

tujhe dil se utara hi nahin tha

Munir anwar

liaqat pur, Punjab, Pakistan

1962
tujhe dil se utārā hī nahīñ thā
ki tere bin guzāra hī nahīñ thā
hameñ bhī zindagī mushkil lagī thī
ye aalam bas tumhārā hī nahīñ thā
palaT ke aa bhī saktā thā vo lekin
use ham ne pukārā hī nahīñ thā
tire lahje meñ tabdīlī che ma.anī
tirī jānib ishāra hī nahīñ thā
use ilzām dharnā thā kisī par
ki koī aur chāra hī nahīñ thā
ye sadma yuuñ bhī mushkil hai ki pahle
kabhī maiñ ḳhud se haarā hī nahīñ thā
kaTe haiñ vo bhī lamhe zindagī se
jinheñ ham ne guzāra hī nahīñ thā
bahut āsān ho saktī thiiñ rāheñ
hameñ chalnā gavāra hī nahīñ thā
mohabbat par ye vaqt aanā thā 'anvar'
koī sadqa utārā hī nahīñ thā
Top Urdushayar.com