Munir anwar

mila to de ke judai chala gaya aaKHir

Munir anwar

liaqat pur, Punjab, Pakistan

1962
milā to de ke judā.ī chalā gayā āḳhir
hamāre hisse meñ tanhā safar rahā āḳhir
agar ye tai thā ki har baat se mukarnā hai
to saath dene kā va.ada hī kyoñ kiyā āḳhir
use ḳhayāl thā kitnā jahān vāloñ kā
isī ḳhayāl meñ jaañ se guzar gayā āḳhir
tazād-e-fikr kā ilzām kuchh durust nahīñ
kahā thā maiñ ne jo avval vahī kahā āḳhir
vo mere dard mire ġham ko bāñTne vaalā
ik aur karb mujhe daan kar gayā āḳhir
tumheñ yaqīn thā ham dostī nibhā leñge
hameñ gumān thā jis kā vahī huā āḳhir
farāz-e-dār se pahle kā vaqt mushkil thā
kisī kī yaad ke saa.e meñ kaT gayā āḳhir
jab iḳhtiyār thā tum faisla sunā dete
tamām umr tazabzub meñ kyoñ rakkhā āḳhir
maiñ us ke haath se niklā huā zamāna thā
vo merī khoj meñ niklā bikhar gayā āḳhir
maiñ e'tibār kī duniyā se kaT gayā 'anvar'
kisī ke saath maiñ itnā bhī kyoñ chalā āḳhir
Top Urdushayar.com