hai mukammal unhī se zaat mirī
mere bachche haiñ kā.enāt mirī
maiñ bas insāniyat kā qaa.il huuñ
pūchhte kyā ho zāt-pāt mirī
ziist jiinā muhāl kar degī
yaad aa.egī baat baat mirī
us ne bhī merā haath chhoḌ diyā
jis ke hāthoñ meñ thī hayāt mirī
us ne bas muskurā ke dekhā thā
khil uThī saarī kā.enāt mirī
kis qadar be-misāl sapnā thā
chain se kaT ga.ī hai raat mirī
tere lahje se hausla pā kar
gungunāne lagī hayāt mirī
jiit kar bhī vo ro diyā 'anvar'
us se dekhī ga.ī na maat mirī